top of page
ALL INDIA
ASPIRING WRITER's
AWARD
Samreen Saleem Dange
REGISTRATION ID
B3596
YOUR FINAL SCORE IS IN BETWEEN
9.15 - 9.75
IFHINDIA CONGRATULATE YOU FOR BEING IN THE TOP 10 FINALISTS.
1. THE TITLE WINNER SCORE MUST BE MORE THAN 9.70 WHO WILL BE WINNING 1,50,000/- CASH PRIZE & YOU MAY BE ONE OF THEM FOR SURE BECAUSE OUR FINAL WINNER IS IN BETWEEN THOSE TOP 10 FINALISTS INCLUDING YOU.
2. SINCE YOU ARE ONE OF THOSE TOP 10 FINALIST YOU WILL BE GETTING EXCLUSIVE GIFT COUPON WORTH 5000/- EACH
(Note : You must participate either in ONLINE EVENT or OFFLINE EVENT without fail to get your AWARD BENEFITS)
3. ALL TOP 10 FINALIST INCLUDING YOU MUST PARTICIPATE IN THE MEGA EVENT EITHER OFFLINE OR ONLINE BECAUSE EVEN YOU MAY BE THE ONE WHO WIN THE TITLE FOR SURE.
4. INCASE YOU ARE NOT WILLING TO PARTICIPATE IN THE MEGA EVENT/ AWARD CEREMONY EITHER OFFLINE OR ONLINE then your journey in the contest will end here. HOWEVER YOU WILL STILL RECEIVE THE BEST 25 WRITERS BENEFITS but you will not get any benefits for being in the TOP 10 incase you quit from the contest hereafter.
click on the below link to know more information about the FINAL ROUND
Written By
Samreen Saleem Dange
Jab bhi kabhi kisiko hasana ho kisi ki madad karni ho ya kisi ki hifazat karni ho to insaan apne sahuliyat ke hisab se logo ki madad karta hai kya hoga agar kisi ki madad karte waqt uska nuksaan ho, sabse pehle insaan apni rozmarrah ki jindagi dekhta hai phir dekhta hai k uske paas itna waqt hai ke wo kisi ki madad kar sake lekin qudrat humesha insaf karti hai. Aisi hi ik choti se kahani main batane ja rahi hun qudarat ki.
Jungle me bada darakhat uske niche behati Nadi aur usi darakhat se ik patta Tut kar gir jata hai jo pura sukh chuka tha.
Nahi pata k wo patta abhi jinda tha ya mar chuka tha lekin darkhat ne usey apni shaak se gira diya.
Beharhaal, patta Nadi k bahao me behta gaya aur aage usi paani me chintiyaan sahara talash kar rahi thi to wo chintiyaan usi patte ka sahara lekar kinare tak pahunchi lekin patta wahi paani me tha Nadi k bahao se wo phir aage tairta gaya utne me zoron ki hawaein chalne lagi jisse pholoon ki tehni se phool jhad gaye aur 3 phool is patte pe aa gire patta un teeno phoolon ko saath tairta gaya aage wo Nadi ik gaon se guzri jahan Nadi kinare ik choti si bacchi ro rahi thi uski behan usey hansane ki koshish kar rahi thi lekin wo chup hone ka naam hi nahi le Rahi thi utane me us ladki ki behan ne dekha k 3 phool patte pe hifazat se tairte arahe hai us ladki ne Nadi me tairte hue us patte ko aur phoolon ko liye chunke patta sukha tha usane wo wapas phenk Diya aur sirf phoolon ko haath me liye aur apni choti behan k pass gayi uski behan Khushi se pholoon ko haath me liye hanste hue Ghar ki taraf chali gayi lekin phenka hua sukha patta do phottharo ke upar ja gira unhi patthoron ke bich warms thi jab barish shuru hue to us sukhe paathe ki wajah se un warms ko barish nahi lagi barish khatam hone par joron ki hawayein chali aur thodi der baad wo patta ud kar sukhe patton ke bich Jaa gira jab gile patte saare sukh Gaye to gaaon walo ne saare sukhe patte jama kiye aur Jala diya kyunki kaafi thand thi gaaonwalo ko kaafi Rahat mili us aag se aur isi tarah is paate ka safar bhi khatam hua.
Qudrat chahe to us paate ko kisi ki khuraakh bhi bana sakti thi, ya bus wahi niche zameen pe bhi phenka hota lekin ik lamba safar us patte se tay karwaya taake kisi ko jaan Bach sake, koi muskuraye koi barish ke paani me na bhige aur sab ko rahat mile.
About the WRITER
Samreen Saleem Dange
ABOVE PHOTOGRAPH WILL BE USED FOR
THE PARTICIPATION CERTIFICATE.
bottom of page